Ae Saba Mustafa Se Keh Dena

Ae Saba Mustafa Se Keh Dena
Gum ke mare salaam karte hain
Yaad karte he aap ko shaam or sahar
Besahaare salaam karte he

Allah Allah, Huzoor ki Baatein
Marhabaa rang or Noor ki Baatein
Chaand jinki balaaye letaa he
Or Sitaare salaam karte he

Zaaire Kaaba tu madine me
Mere Aaqa se itna kehdena
Pyaare Aaqa Rasool Sunlijiye
Gum ke maare salaam karte he

Zikr tha aakhri maheene ka
Tazkira chir gayaa Madine ka
Haajio Mustafa se Kehdena
Gum ke maare salaam karte he

Aey payaami meri Qasam he tujhe
Arz karna Rasool-e Akram se
Qalb-e Mutrib ki he Huzoor tarap
Or saare salaam karte he

Subz Gumbad ka aankh me manzar
Or tasawwur me Aap ka mimbar
Saamne jaaliya he Rauze ki
Aajzi se salaam karte he

Allah Allah, Huzoor ke Gaisu
Bhini Bhini mehekthi wo khusbu
Jinse ma’mur fiza harsu
Wo nazaare salaam karte he

Aey Khuda ke Habib Pyaare Rasool
Ye hamaara salaam keejye Qabool
Aaj mehfil me jitney haazir he
Milke saare salaam karte he.

21 thoughts on “Ae Saba Mustafa Se Keh Dena”

  1. Salaaam alayikum ASIM u r right kash madina jisne dekha jisne nahi dekha sb ko fhir naseeb ho waisi jagah ya muhammed karam ho karam hum madina fhir jana chahate hain

    Reply
  2. Ye slam jab me sunta hu muje rona aa jata he.. Or specilly Uvesh Raza sahab ki aawaz me to masaallah ye salam bahut hi emotion bhara he.. Mere huzur ke saher me jane ki tadap mehsus hoti he is salam me

    Reply
  3. SUBHAN ALLAH YE SALAM MUJHE BHE BOHAT PASAND HA IS SUNTE HE DIL LARJARA UTHTA HA PHIR TO BUS KUCH NAZAR NAHE AATA SIWAY ALLAH ALLAH KA AGAR ALLAH KA KOI BHE KALAM DIL SE SUNE TO PHIR DEKHE DIL KASE JOHMTA HA

    Reply
  4. Ishq e sarwar mei jo tarapte hai
    Hajri ke liye taraste hai
    Izne taiba ki yaad mei aaqa
    Woh musalman salam kahte hai

    Reply

Leave a Comment