Aie reniyali shab qadr, aie mah e ramzan alwada
Biryahein furqat say jigar, aie mahe ramzan al wada.
Aankhoon say ab aanso bahein yeh dard hum kisko kahein
Tujh karni rotay rahein, aie mah e ramzan al wada.
Tu kuuch ka mara tabal, mujh sar para gham ka ajar
Yeh dukh kahoon kiskay agal, aie mah e ramadan al wada.
Kiya tha mubarak mah tu, saray baras ka shah tu
Rab ki dikhayi rah tu, aye mah e ramzaan alwada.
Hum tujh bina ab tal malein, teri muhabbat mein galay
Jeetay rahein to phir milein, aye mah e ramadaan alvada.
Tu aaye ga under jahan, hum howein gay shayad kahan
Bhetar qabr ya jagh mein aa, aye mah e ramdaan al vada.
Dil ka meray sultan tu, mujh per kiya ehsaan tu
Din tees ka mehman tu, aye mah e ramazan alwada.
Muj dil mein tera dard hai, tujh karni rukh zard hai
Tan lagha ro dam sard hai, aye mah e ramzan alwada.
Roshan hoyi thi masjida, kush tar bhichaye masnada
Qur’an parhtay hafiza, aye mah e ramzan alwada.
Ummat bhiter bheja tujhay, dozakh agan tujhsay bujhay
Taqwa hai tujh upper mujhay, aye mah e ramzaan alvida.
Rozay say mukh per noor hay, tan kahini say dur hai
Dil sabr say mamoor hai, aye mah e ramzaan al vida.
Tha deen ka tujh mein maza, tu ho chala hum say juda
Sab momina tujh per fida, aye mah e ramzaan alvada.
Jab mah giyara jayein gay, ramzan mubarak aayein gay
Jinkay naseeb woh payein gay, aye mah e ramzaan alwada.
Suna huwa sansar sabh, baki rahein din char ab
Baihosh ho kehtay hain sab, aye mah e ramzaan alwada.
Hum tujh bina ab tal malein, teri muhabbat mein galay
Jeetay rahein to phir milein, aye mah e ramadaan alvada.
Tan beeich hairani ahay, aankhoon say nit pani bahay
Ro ro Yatimala kahay, aie mah e ramzaan alvada.
COMMENTS