Tahseen Raza Khan Barelvi (تحسین رضا خان بریلوی)
Jisko Kahte Hain Qayamat Hashr Jiska Naam Hai,
Dar Haqeeqat Tere Deewano Ka Jashn E Aam Hai.
Azmat e Farq E Shah E Kaunain Kiya Janay Koi,
Jis Nay Choom E Paaye Aqdas Arsh Uska Naam Hai.
Aa Rahe Hain Woh Sar E Mahshar Shafa’at Kay Liye,
Ab Mujhe Malum Hai Jo Kuch Mera Anjam Hai.
Tu Agar Chahay To Phir Jayain Siyah Karoon Kay Din,
Haath Main Teray Inaane Gardish e Ayyam Hai.
Roo E Anwar Ka Tasawur Zulf E Mushkee Kaa Khayal,
Kaisi Pakeezah Sahar Hai Kiya Mubarak Shaam Hai.
Dil Ko Yeh Keh Kar Rahe Taiba Main Behlata Hon Main,
Aa Gayi Manzil Teri, Bas Aur Do, Ek Gaam Hai.
Saaqiy E Kausar Ka Naam E Paak Hai Wird E Zubaan,
Kon Kehta Hai Kay Tahseen Aaj Tashna Kaam Hai.
COMMENTS