Yaar Ki Marzi Ke Taabe Yaar Ka Dum Bharke Dekh

Yaar Ki Marzi Ke Taabe Yaar Ka Dum Bharke Dekh,
Arz-e-matlab Kar Ke Dekha Tark-e-matlab Kar Ke Dekh.

Be-irada Marne Wale Ba-irada Mar Ke Dekh,
Sab Tamashay Kar Chuka Yeh Bhi Tamasha Karke Dekh.

Tark-e-dunya, Tark-e-uqba, Tark-e-maala, Tark-e-tark,
Yani Yoon Be-aarzu Jine Ki Adat Kar Ke Dekh.

Husn Ki Kafir Ada’en, Ishq Ki Waraftagi,
Dekhni Ho Toh Kisi Se Rabt Paida Karke Dekh.

Har Musibat Peshqaima Hai Tere Aaraam Ka,
Sabr Se Bhi Kaam Hai, Kuch Din Musibat Bhar Ke Dekh.

Maut Khud Banjayegi Tere Liye Ek Zindagi,
Zindagi Par Marne Wale Zindagi Me Mar Ke Dekh.

Yaar Tera Hai Toh Phir Teri Hai Saari Kayenaat,
Sab Ko Apna Karne Wale! Us Ko Apna Karke Dekh.

Aagaya “Kamil” Dam-e-aaqir Woh Jaan-e-intezaar,
Marne Wale Chain Se Mar, Dekh Ab Ji Bhar Ke Dekh.

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x