Kabe Pe Pari Jab Pehli Nazar
Kya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
Labbaik Labbaik Allahumma Labbaik
Innal Hamda Wanni’mata
Laka Wal Mulk La Sharika Laka Labbaik
Yun Hosh-O-Khirad Maflooj Hue
Dil Zauq-E-Tamasha Bhool Gaya
Kaabe Ki Raunaq Kaabe Ka Manzar
Allahu-Akbar Allahu-Akbar
Dekhun To Dekhe Jaaun Barabar
Allahu-Akbar Allahu-Akbar
Phir Rooh Ko Izn-E-Raqs Mila
Khawabeeda Junoo Bedar Hua
Talwon Ka Taqaza Yaad Raha
Nazron Ka Taqaza Bhool Gaya
Kaabe Pe Pade Jab Pahli Nazar
Kya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
Tere Haram Ki Kya Baat Maula
Tere Karam Ki Kya Baat Maula
Ta-Umr Kar De Aana Muqaddar
Allahu-Akbar Allahu-Akbar
Ehasas Ke Parde Lahraaye
Imaan Ki Hararat Tez Huyi
Sajdon Ki Tadap Allah Allah
Sar Apna Sauda Bhool Gaya
Kaabe Pe Pade Jab Pahli Nazar
Kya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
Hamd-O-Khuda Se Tar Hai Zabanen
Kano Me Ras Gholti Hain Azane
Bas Iski Sada Ati Hai Barabar
Allahu-Akbar Allahu-Akbar
Jis Waqt Dua Ko Hath Uthe
Yad Aa Na Saka Jo Socha Tha
Izhar-E-Aqeedat Ki Dhun Me
Izhar-E-Tamanna Bhool Gaya
Labbaik Labbaik Allahumma Labbaik
Innal Hamda Wanni’mata
Laka Wal Mulk La Sharika Laka Labbaik
Maangi Hai Maine Jitni Duaayen
Manzoor Hongi Maqbool Hongi
Mizab-E-Rahmat Hai Mere Sar Par
Allahu-Akbar Allahu-Akbar
Pahuncha Jo Haram Ki Chaukhat Par
Ek Abr-E-Karam Ne Gher Liya
Baqi Na Raha Ye Hosh Mujhe
Kya Maang Liya Kya Bhool Gaya
Kaabe Pe Pade Jab Pahli Nazar
Kya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
Bheja Hai Jannat Se Tujh Ko Rab Ne
Chooma Hai Tujh Ko Khud Mustafa (Saw) Ne
Ae Sangaswad Tera Muqddar
Allahu-Akbar Allahu-Akbar
Har Waqt Barasti Hai Rahmat
Kaabe Me Jameel Allah Allah
Khaki Hoon Main Kitna Bhool Gaya
Aasi Hoon Main Kitna Bhool Gaya
Kaabe Pe Pade Jab Pahli Nazar
Kya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
Yun Hosh-O-Khirad Maflooj Hue
Dil Zauq-E-Tamasha Bhool Gaya
Kaabe Pe Pade Jab Pahli Nazar
Kya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
COMMENTS