Karay Madhe Shah E Wala

Karay Madhe Shah E Wala, Kahan Insaan Mein Taqat Hai
Kare Madhe Shahe Wala, Kahan Insan Main Taqat Hay
Magar Unki Sana Khwani, Taqaaza E Muhabbat Hai.

Nihan Jis Dil Main Sarkar E Do Aalam Ki Muhabbat Hai
Woh Dil Momin Ka Dil Hai, Chashma E Noor E Hidayat Hai.

Main Duniya Ki Khushi Hargiz Na Loon De Kar Gham E Aaqa,
Yahi Gham To Hay Jis Se Zindagi Apni Ibarat Hai.

Falak Kay Chand Taare Tum Say Behtar Ho Nahin Saktay,
Rahe Taiba Kay Zaro Tum Pay Aaqa Ki Inayat Hai.

Usay Kya Khawf Khurshid e Qayamat Ki Tamazat Ka,
Jo Khush Anjaam Zere Saya E Daman e Hazrat Hai.

Machal Jaye Gi Rahmat Dekh Kar Mujrim Ko Mahshar Main,
Wo Mujrim Jis Kay Lab Par Naam E Sarkar E Risalat Hai.

Badal Saktay Hain Halat e Zamana Aaj Bhi , Tahseen,
Magar Unki Nigah e Faiz e Saman Ki Zarurat Hai.

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x