Lab Par Naat e Pak Ka Naghma

Lab Par Naat e Pak Ka Naghma
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Mere Nabi (saw) se mera rishta
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Past wo kaise ho sakta hai
Jisko haq ne buland kiya

Dono jahan me unka charcha
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Aur kisi janib kyun jaayen
Aur kisi ko kyun dekhen

Apna sab kuchh gumbad-e-khazra
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Fikr nahi hai hamko kuchh bhi
Dukh ki dhoop kadi to kya

Ham par unke fazl ka saaya
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Badlado ghustakh-e-Nabi ko
Ghairat muslim zinda hai

Deen par mar mitne ka jazba
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Unke dar se sab ho aayen
Ja na saka to ek saghih

Ye ke ek tasveer-e-tamanna
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Lab par naat-e-pak ka naghma
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Mere Nabi (saw) se mera rishta
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x