Tahseen Raza Khan Barelvi (تحسین رضا خان بریلوی)
Madina Samnay Hai Bas Abhi Pohncha Mein Dam Bhar Mein
Madinah Saamnay Hay Bas Abhi Pohancha Main Dam Bhar Main
Tajasus Karwatein Kyun Lay Raha Hay Qalb E Muztar Main
Mujhe Pohancha Gaya Zauq E Talab Darbar E Sarwar Main
Musarrat Kulbula Uthi Naseeb E Deeda E Tar Main.
Unhein Qismat Nay Unki Rifat E Aflaak Bakhshi Hai
Giray Jo Ashk Aankhon Say Meri Hijr E Payambar Main.
Gunahgaron Kay Sar Par Saya Hay Jab Unki Rahmat Ka
Sawa Naizay Pay Aaa Kar Shams Kiya Kar Lega Mehshar Mein.
Meray Bakht E Siyah Ko Tu Agar Chahay Badal Dalay
Teri Rahmat Ko Kaafi Dakhal Hasil Hay Muqadar Main.
Madad Aay Haadi E Ummat Nawae Bay Nawayan! Sun
Charaghay Bay Kasi Thara Raha Hay Baad E Sar Sar Main.
Meri Har Aarzu Ka Mahasal, Tehseen Bas Yeh Hai
Kisi Soorat Pohonch Jaoon Main Darbar E Payambar Main.
COMMENTS