Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salaam

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salaam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salaam

1. Jab Hua Zofishan Deen-O-Duniya Ka Chand
2. Aya Khilwat Se Jalwat Mein Asra Ka Chand
3. Nikla Jis Waqt Mas’Oodey Batoha Ka Chand
4. Jis Suhani Ghari Chamka Taibah Ka Chand
5. Us Dil Afroz Sa’At Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

6. Jis Ke Jalwey Zamane Pe Chane Lagey
7. Jis Ki Zousey Andherey Thikane Lagey
8. Jis Se Tarik Dil Jagmagane Lagey
9. Jis Se Zulmat Kade Noor Pane Lagey
10. Us Chamak Wali Rangat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

11. Rehmaten Haqq Ki Hone Lagi Barishein
12. Deen-O-Duniya Ki Lutney Lagi Daulatein
13. Khol Din Jis Ne Allah Ki Hikmatein
14. Woh Zuban Jis Ko Har Kun Ki Kunji Kahein
15. Uski Nafiz Hukumat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

16. Aur The Sahaba Mein Yun Aminah Bi Ke Lal
17. Aur Jaisey Taron Ke Jhurmat Mein Badre Kamal
18. Halqae Noor Mein Nayyare La Zawaal
19. Aur Gird Mahe Daste Anjum Mein Darakhshan Hilal
20. Badr Ki Dafey Zulmat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

21. Aa Gaya Farsh Par Asmane Shafique
22. Markaze Hashmi Khandane Shafique
23. Mushfiqe Mushfiqan Ma Manane Shafique
24. Ahley Islam Ki Madrane Shafique
25. Banuwane Taharat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

26. Ghunchae Baagh Judo Nawale Rasool
27. Partawe Sham-E Jaho Jalale Rasool
28. Jalwae Toor Husno Jamale Rasool
29. Noore Jaan Itrey Majmua Aaley Rasool
30. Sab Ke Aaqae Ne’Amat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

31. Zaate Yakta Ke Un Per Karoron Durood
32. Rabbe Kaa’Bah Ke Un Per Karoron Durood
33. Haqq Ta’Ala Ki Un Per Karoron Durood
34. Unke Maula Ki Un Per Karoron Durood
35. Unke Ashabo Itrat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

Author: Maulana, Shah, Ahmed Raza Khan Barelvi (Ra)

Meanings:
Main Lines: Sham-E = Full Of Light
Main Lines: Bazme = Mehfil
Line 2: Khilwat = Upar Se
Line 2: Jalwat = Duniya
Line2: Asra = Allah Ke Qarib
Line 3: Mas’Ood = Neik
Line 5: Sa’At = Ghari
Line 5: Dil Afroz = Aap Ke Dilko Khushiyon Se
Bhar Ne Wala
Line 7: Zousey = Noor
Line 15: Nafiz Hukumat = Enforced Hukumat
Line 17: Taron Ke Jhurmat = Taron Ke Beech
Line 18: Nayyar = Suraj
Line 18: La Zawaal = Zawaal Na Hone Wala
Line 19: Daste Anjum = Sitaron Ka Jama
Line 19: Rakhshan Hilal = Raushni Wala Chand, E.G.,Taron
Ke Beech Chamakta Chand
Line 20: Zulmat = Zulm
Line 23: Mushfiqe Mushfiqan = Shafique-O Ke Shafique
Line 25: Banuwane Taharat = Paakizah Auraton
Line 26: Ghunchae = Blooming Flowers In
Reference To Ahley Bait
Line 26: Judo = Generosity
Line 26: Nawale = Khandaan
Line 27: Pertawe = Saaya
Line 31: Zaate Yakta = Akeli Zaat
Line 35: Itrat = Martabey Wala

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

1 Comment
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
1
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x