Abhi To Lota Hun Unke Dar Se Abhi Se Dil Beqarar Kyun Hai

Roman Urdu

Abhi To Lota Hun Unke Dar Se Abhi Se Dil Beqarar Kyun Hai
Abhi to har soo hain unke jalwe, abhi hijr ka shumar kyun hai

Tawaf-e-Kaaba ki ghumaghumi, sarwar-e-Taiba ke rut jagon ka
Abhi to yadon ke gul hain taza, abhi zawaal-e-bahar kyun hai

Madinay wale ki rahmaton ke arsh ke wali ki bakhshishon ke
Abhi to sagar chhalak rahe hain, abhi se utra khamar kyun hai

Abhi to sanson mein mujzun hai, mehk Madinay ke baam-o-dar ki
Abhi kyun aansu chhalak rahe hain, abhi se khoon mein fushaar kyun hai

Abhi na ankhoon se khoon barsa, abhi to Muhabbat kuchh sabar kar
Abhi to ginti ke din hain guzare, abhi se ahter shumar kyun hai


Urdu Language

ابھی تو لوٹا ہوں انکے در سے ابھی سے دل بیقرار کیوں ہے
ابھی تو ہر سو ہیں انکے جلوے ابھی ہجر کا شمار کیوں ہے

طوافِ کعبہ کی گہما گہمی سرور طیبہ کے رت جگوں کا
ابھی تو یادوں کے گل ہیں تازہ ابھی زوالِ بہار کیوں ہے

مدینے والے کی رحمتوں کے عرش کے والی کی بخششوں کے
ابھی تو ساغر چھلک رہے ہیں ابھی سے اترا خمار کیوں ہے

ابھی تو سانسوں میں موجزن ہے مہک مدینے کے بام و در کی
ابھی کیوں آنسو چھلک رہے ہیں ابھی سے خوں میں فشار کیوں ہے

ابھی نہ آنکھوں سے خون برسا ابھی تو محبوؔب کچھ صبر کر
ابھی تو گنتی کے دن ہیں گزرے ابھی سے اختر شمار کیوں ہے

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x