Ahad o Ahmad

Table Of Contents Hide

Roman Urdu

Ahad o Ahmad

Allah jo Rabb-ul-Aalameen hai
Batao to woh kahan nahin hai
Muhammad Rahmat-ul-Aalameen hain
Khuda ke saath har jagah wohi hain
Khuda sifat o safaa mein hai yagana
Shariq-e-Rabb kisi ko mat banana
Muhammad Mustafa shaahkaar-e-Khaaliq
Har ek cheez ke mukhtar o maalik
Wohi hai qaadir-e-mutlaq jahaan ka
Ilah hai woh makaan o la makaan ka
Haqeeqat mein woh maalik hain jahaan ke
Wohi maqsud hain kaun o makaan ke
Nahin kuchh bhi uski qalamro se bahar
Hai maaloom usko khafi o zaahir
Nahin koi un jaisa tayyab o taahir
Woh khalkat mein awwal hain aamad mein aakhir
Haan Parwardigar-e-jahaan bhi wahi hai
Ke masjood-e-ins aur jaan bhi wahi hai
Khazaane Khuda ne sabhi unko bakhsha
Sakhi aqa daaman sabhi ke hain bharthe
Sabhi khushk o tar hain sana-khwaan uske
Yeh jungle, pahaad aur meedaan uske
Sana unki karta hai Rab-e-Kareem
Ahad o Ahmad mein hai farq-e-meem
Woh Khaaliq hai har taraf shaahkaar uske
Hain baro behar aur khasaar us ke
Hai Rab khush bada naat-khwaani mein unki
Har ek cheez de di ghulami mein unki

Urdu

احد و احمد

محمد رحمت اللعالمیں ہیں
خدا کے ساتھ ہر جگہ وہی ہیں
اللہ جو رب العالمین ہے
بتاؤ  تو  وہ کہاں نہیں ہے
محمد مصطفےٰ شاہکارِ خالق
ہر اِک چیز کے مختار و مالک
خدا صفت و صفا میں ہے یگانہ
شریکِ رب کسی کو مت بنانا
حقیقت میں وہ مالک ہیں جہاں کے
وہی مقصود ہیں کون و مکاں کے
وہی ہے قادرِ مطلق جہاں کا
الہٰ ہے وہ مکان و لا مکاں کا
نہیں  کوئی ان جیسا طیب و طاہر
وہ خلقت میں اوَل ہیں آمد میں آخر
نہیں کچھ بھی اسکی  قلمرو سے باہر
ہے  معلوم اسکو خفی اور ظاہر
خزانے خدا نے سبھی ان کو بخشے
سخی آقا دامن سبھی کے ہیں بھرتے
ہاں پروردگارِ جہاں بھی وہی ہے
کہ مسجودِ انس اور جاں بھی وہی ہے
ثنا انکی کرتا ہے ربِ کریم
احد اور احمد میں ہے فرقِ میم
سبھی خشک و تر ہیں ثنا خوان اسکے
یہ جنگل پہاڑ اور میدان اسکے
ہے رب خوش بڑا نعت خوانی میں انکی
ہر اِک چیز دے دی غلامی میں انکی
وہ خالق ہے ہر سمت شاہکار اسکے
ہیں برو بحر اور کہسار اس کے

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x