Tahseen Raza Khan Barelvi (تحسین رضا خان بریلوی)
Rukta Nahin Har Giz Woh Udhar Baagh E Iram Se
Waabasta Ho Jo Aap Ke Damaan E Karam Se
Lillaah Karam Kijie Sarkaar E Madinah
Dil Doob Raha Hay Mera Furqat E Alam Se
Aalaam E Zamaana Ka Bhala Iss Main Guzzar Kia
Aabaad Hay Jo Dil Shahe Khoobaan Ke Alam Se
Lab Par Ho Durood Aur Hon Gumbad Pe Nigaahain
Aisay Main Bulaawa Mera Aajaaye ‘adam Se
Manzoor Nahin Hay Ke Woh Paamaal E Jabeen Ho
Yoon Sajdah Karaaya Na Dar E Paak Se Hum Se
Deedar Ki Umeed Na Hoti Jo Sar E Hashr
Bedaar Na Hote Kabhi Hum Khwaab E ‘adam Se
Baithe Hain Yahan Chor Ke Ke Nayrangiye Aalam
Hum Ko Na Uthaa Hashr Dar E Shah E Umam Se
Dekho Meri Aankhon Se Dar E Shaah E Umam Ko
Aati Hay Sadaa Yeh Dar O Deewar E Haram Se
Yaa Rabb Dil E Tehseen Ki Bhi Bar Aaye Tamanna
Aa Jaaye Bulaawa Dar E Sarkaar Karam Se.
COMMENTS