1. Yeh Kehti Thi Ghar, Ghar Mein Jakar Halimah
2. Mere Ghar Mein Khayrul Vara Aa Gaye Hain
3. Bare Ouj Par Hai Mera Ab Muqaddar
4. Mere Ghar Habibe Khuda Aa Gaye Hain
5. Uth Thi Char Su Rehmaton Ki Ghataein
6. Muattar, Muattar Hain Sari Fazaein
7. Khushi Mein Yeh Jibreel Naghmey Sunaein
8. Woh Shafae Roze Jaza Aa Gaye Hain
9. Yeh Zulmat Se Kehdo Ke Dhere Uthaley
10. Ke Hain Har Taraf Ab Ujaley, Ujaley
11. Kaha Jin Ko Haqq Ne Serajum Munirah
12. Mere Ghar Woh Noore Khuda Aa Gaye Hain
13. Yeh Sun Kar Sakhi Aap Ka Aastana
14. Hai Daman Pasarey Huey Sab Zamana
15. Navason Ka Sadqa Nigahen Karam Ho
16. Tere Dar Pe Tere Gada Aa Gaye Hain
17. Muqarrab Hain Beshak Khalil-O-Naji Bhi
18. Bari Shaan Wale Kalim-O-Masih Bhi
19. Liye Arsh Ne Jin Ke Qadmon Ke Bosey
20. Woh Ummi Laqab Mustafa Aa Gaye Hain
21. Nakiren Jab Meri Turbat Mein Akar
22. Kahengey Ziyarat Ka Muzdah Suna Kar
23. Utho Bahere Ta’Zim Noorul Hasan Ab
24. Lahad Mein Rasoole Khuda Aa Gaye Hain
Author: Janaab Noor-Ul-Hasan
Meanings:
Line 11: Serajum Munirah = Chamakta Chand
Line 14: Pasarey = Phailana
Manqabat Dedicated To Hazrat Bibi Halimah (Ra)
Should Allah Ta’Ala Give You The Opportunity To Go For Hajj Or Umrah, Be Sure To Recite This In Jannatul Baqi, Madinah Munawwarah, At The Holy Grave Of H. Bibi Halimah (Ra).
COMMENTS