Zahe Muqaddar Huzoor E Haq Se Salam Aaya Peam Aaya

Zahe Muqaddar Huzoor E Haq Se Salam Aaya Peam Aaya
Jhukao Nazrein Bichao Palkain Adab Ka Ala Maqam Aaya

Ye Kon Sar Se Kafan Lapate, Chala Hai Ulfat Ke Raste Par
Farishte Hairat Se Tak Rahe He Yeh Kon Zy Ehteram Aaya

Faza Main Labbaik Ki Sadain, Zah Farishta Arsh Goonjti He
Har Aik Qurban Ho Raha Hai, Zaban Pe Yeh Kis Ka Nam Aaya

Yeh Rah E Haq Hai! Sambhal Ke Chalna! Yahan Hai Manzil Qadam Qadam Par
Pohanchna Dar Par, To Kehna Aqa Salam Lijiye Ghulam Aaya

Yeh Kehna Aqa Bohat Se Ashiq Tarapte Se Chor Aaya Houn Main
Bulawe Ke Muntazir He Lekin, Na Subho Aaya Na Sham Aaya

Dua Jo Nikli Thi Dil Se Akhir, Palat Ke Maqbool Ho Ke Aei
Woh Jazba Jis Main Tarap Thi Sachi, Woh Jazba Akhir Ko Kam Aaya

Khuda Tera Hafiz O Nigehban, Oh Rah E Bat’ha Ke Jane Wale
Nabi De Sad Inbisat Ban Kar, Peam Darood O Salam Aaya

Zahe Muqadar Huzur E Haq Se Salam Aaya Payeam Aaya
Jhukao Nazrain Bichao Palkain Adab Ka Aala Maqam Aaya

Zahe Muqaddar Huzoor E Haq Se Salam Aaya Peam Aaya in Urdu Language

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x