Magroor Na Ho Apne Muqadar Pe Aye Nadan
Allah ki nazron me barabar hai insan
Duniya ke ajab rang nazar ane lage hain
Ek beta hai jo baap se takrane lage hain
Ek baap hai jo beta se takrane lage hain
Ek bhai hai jo bhai se takrane lage hain
Afsos hai ke insan bhi ban jata hai shaitan
Allah ki nazron me barabar hai sab insan
Maghroor na ho apne muqaddar pe ae nadan
Allah ki nazron me barabar hai insan
Ye saaz ye mahfil ye tarane na rahenge
Ye husn-o-mohabbat ke fasane na rahenge
Mit jayega ek pal me gunahon ka ye saman
Allah ki nazron me barabar hai sab insan
Maghroor na ho apne muqaddar pe ae nadan
Allah ki nazron me barabar hai insan
Zalim ko bhi har zulm se baaz aana padega
Looti hui har cheez ko lautana padega
Qudrat ka ye qanoon badalna nahin aasan
Allah ki nazron me barabar hai har insan
Maghroor na ho apne muqaddar pe ae nadan
Allah ki nazron me barabar hai insan
COMMENTS