Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salam

Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salaam

1. Kitni Arfa Hai Shaane Habibe Khuda
2. Malike Do Saran Sarware Ambiya
3. Muqtadi Jis Ke Sab, Sab Ka Jo Muqtada
4. Jis Ke Zere Leva Aadmo Mansava
5. Us Sazae Siyadat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

6. Duba Suraj Kisi Ne Bhi Phera Nahin
7. Koi Misle Yadullah Bhi Dekha Nahin
8. Jis Ki Taqat Ka Koi Thikana Nahin
9. Jis Ko Bare Do Alam Ki Parvah Nahin
10. Aisey Baazu Ki Quwwat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

11. Deen Aur Duniya Diye Maal-O-Zar Diya
12. Hoor Aur Ghilman Diye Khuldo Kausar Diya
13. Damne Maqsade Zindagi Bhar Diya
14. Hath Jis Samt Utha Ghani Kar Diya
15. Mauje Behre Sakhawat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

16. Sadiqa, Saleha, Saeema, Saberah
17. Safdil, Neik-Khu, Parsa, Shakerah
18. Aabedah, Zahedah, Sajedah, Zakirah
19. Sayyadah, Zaherah, Tayyabah, Taherah
20. Jane Ahmed Ki Rahat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

21. Gohare Fatimah Markaze Atqiya
22. Pisre Murtaza, Marjaey Ashfiyan
23. Noor, Noore Khuda Sarware Awliya
24. Hasne Mujtaba Sayydul Ashkhiya
25. Rakebe Doshe Izzat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

26. Taajwar Sabr Ka Shahe Gulgun Qaba
27. Kushtae Har Jafa Shahe Gulgun Qaba
28. Woh Qatile Raza Shahe Gulgun Qaba
29. Us Shahidey Bala Shahe Gulgun Qaba
30. Be Kase Daste Ghurbat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

31. Abre Judo Ata Kis Pe Barsa Nahin
32. Tera Lutfo Karam Kis Pe Dekha Nahin
33. Kis Jaga Aur Kahan Tera Qabza Nahin
34. Ek Mera Hi Rehmat Pe Daawa Nahin
35. Shah Ki Sari Ummat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

36. Aftabey Qayamat Ke Badley Hon Taur
37. Jab Ke Ho Har Taraf Nafsi, Nafsi Ka Shor
38. Jab Kisi Ka Kisi Per Na Chalta Ho Zor
39. Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
40. Bhejein Sab Unki Shaukat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat

41. Murshadi Shah Ahmad Raza Khan Raza
42. Faizyabe Kamalate Harsha Raza
43. Saath Hum Sabh Bhi Hon Zum Zama
44. Jab Ke Khidmat Ke Qudsi Kahein Han Raza
Mustafa Jane Rehmat

45. As Salaam Aey Sabz Gumbad Ke Makin
46. As Salaam Aey Rehmatul Lil Alameen
47. Ya Ilahi Sadqa-E Aaley Rasool
48. Yeh Salaame Aajzanan Ho Qubool
Mustafa Jane Rehmat

Author: Maulana, Shah, Ahmed Raza Khan Barelvi (Ra)

Meaninigs:
Line 1: Arfa = Unchi
Line 2: Do Saran = Donon Jahan
Line 4: Zere Leva = Nichey
Line 4: Aadmo Mansava = H. Adam (A.S.) Ke Siva
Line 7: Yadullah = Allah Ka Hath
Line 11: Maal-O-Zar = Paisa Aur Sona
Line 12: Khuldo Kausar = Jannat
Line 14. Samt = Side
Line 16: Sadiqa = Sach-Chi
Line 16: Saleha = Neik
Line 16: Saeema = Bohat Roze Wali
Line 17: Neikkhu = Jis Ki Adat Neik Ho
Line 17: Parsa = Neik / Paak
Line 17: Shakerah = Shukr Kar Ne Wali
Line 18: Aabedah = Aabid (Ibadat Kar Ne Wali);
Muttaqi; Parhezgaar
Line 18: Zahedah = Zohad, Full Of Taqwa
Line 19: Tayyabah = Paak
Line 19: Taherah = Paak
Line 21: Gohare = Moti
Line 21: Atqiya = Taqwa Ka Markaz
Line 22: Marjae Ashfiyan = Jahan Se Neik Log Nikal Tey Hai
Line 22: Ashfiyan = Sufi
Line 24: Ashkhiya = Shakhiyon Ke Badshah
Line 25: Rakebe = To Ride
Line 25: Doshe Izzat = Refers To Huzoor S.A.W’S Mohar On His Back
Line 26: Taajwar Sabr Ka = Sabr Ka Badshah
Line 26: Gulgun Qaba = Lal Libaas
Line 27: Kushtae = Refers To H. Imam Hussain (Ra) Who Had Endured Much Hardship Line 27: Jafa = Zulm; Sahan Kar Ne Wala
Line 28: Qatile Raza = Allah Ki Raza Mandi Pe Razi Hone Wala
Line 29: Shahidey Bala = Refers To Karbala
Line 30: Be Kase = Helpless
Line 30: Daste Ghurbat = Jangal; Meaning – Us Ghurbat Ke Jangal Mein Jo Bekas Hai
Line 31: Abre = Badal
Line 31: Judo Ata = Daine Wala Sakhi
Line 36: Aftab = Suraj
Line 37: Nafsi, Nafsi Ka Shor = Alayda, Alayda
Line 39: Kaash = Alas
Line 41: Murshadi = Pir-O-Murshid
Line 42: Kamalate Harsha = Referring To Hazrat Hassan Bin Sabit (Ra)
Line 43: Zum Zama = Salaat-O-Salaam Parh Ne Walon
Line 44: Qudsi = Asman Ke Log
Line 44: Whole Line: = Refers To The Ayat “Innal Laha
Wamalaekatuhu”, Where In People Of The Ghaib, Themselves Sends Salaam To The Prophet Muhammad (Saw).

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

21 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
21
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x