Aaj Muhammad Aaye Moray Ghar
Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj Warafa’na ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar
Subh-e-azzal hai Mukhra un ka
Shaam-e-awad hai Zulf ka saya
Unse hua har qalb munawwar
Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron Unke Charan par
Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein
Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka Dulha
Dharti aur aakaash se behtar
Dosh pe youn Gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye
Rang-o-nighat saara manzar
Amina Bi ka Raaj Dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par
Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha
Pohnche jab aflaak pe Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Naghma tha har eik ki zuban par
Tall jaayegi saari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar
Anjum bekass Aap ka mangta
Dijiye bakshish jagg ke Data
Boond hoon main aur Aap samandar
Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
COMMENTS