Aapke Paon Chum Kar Rooye Zameen Nikhar Gaya

Table Of Contents Hide

Roman Urdu

Aapke paon chum kar rooye zameen nikhar gaya
Bigda hua nizaam-e-zeest khud-bakhud sanwar gaya

Aap ki aamad se pehle zulmaton ka dor tha
Aap ki aamad hui har gosha noor se bhar gaya

Aap ki nigaah uthi aur Ka’aba Qibla ban gaya
Aap ki ungli uthi aur toot-phoot qamar gaya

Aap ke faiz-e-noor se zulm ki raat dhal gayi
Samri ka but jala, Iblees ka sahr gaya

Aap hain maalik-e-jahaan, Aap hi mere kaarwaan
Aap ke dar ke samne jhuk har ek sar gaya

Be-aab rigzaar bhi baagh-e-bahisht ban gaye
Aap ke paker-e-noor ka saya jidhar-jidhar gaya

Aap ka naam le ke jo qadam barhaaye main ne to
Palk jhapkne se qabal pul se bhi main guzar gaya


Urdu

آپکے پاؤں چوم کر رُوئے زمیں نکھر گیا
بگڑا ہوا نظامِ زیست خودبخود سنور گیا

آپ کی آمد سے پہلے ظلمتوں کا دور تھا
آپ کی آمد ہوئی ہر گوشہ نور سے بھر گیا

آپ کی نگاہ اٹھی اور کعبہ قبلہ بن گیا
آپ کی انگلی اٹھی اور ٹوٹ پھوٹ قمر گیا

آپ کے فیضِ نور سے ظلم کی رات ڈھل گئی
سامری کا بُت جلا ابلیس کا سحر گیا

آپ ہیں مالکِ جہاں آپ ہی میرِ کارواں
آپ کے در کے سامنے جھک ہر ایک سر گیا

بے آب ریگزار بھی باغِ بہشت بن گئے
آپ کے پیکرِ نور کا سایہ جدھر جدھر گیا

آپ کا نام لے کے جو قدم بڑھائے میں نے تو
پلک جھپکنے سے قبل پُل سے بھی میں گزر گیا

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x