Naat Khawan:
Mahboob Ahmad Shah (محبوب احمد شاہ)
Mahboob Ahmad Shah (محبوب احمد شاہ)
Table Of Contents
Hide
Roman Urdu
Ahad o Ahmad
Allah jo Rabb-ul-Aalameen hai Batao to woh kahan nahin hai | Muhammad Rahmat-ul-Aalameen hain Khuda ke saath har jagah wohi hain |
Khuda sifat o safaa mein hai yagana Shariq-e-Rabb kisi ko mat banana | Muhammad Mustafa shaahkaar-e-Khaaliq Har ek cheez ke mukhtar o maalik |
Wohi hai qaadir-e-mutlaq jahaan ka Ilah hai woh makaan o la makaan ka | Haqeeqat mein woh maalik hain jahaan ke Wohi maqsud hain kaun o makaan ke |
Nahin kuchh bhi uski qalamro se bahar Hai maaloom usko khafi o zaahir | Nahin koi un jaisa tayyab o taahir Woh khalkat mein awwal hain aamad mein aakhir |
Haan Parwardigar-e-jahaan bhi wahi hai Ke masjood-e-ins aur jaan bhi wahi hai | Khazaane Khuda ne sabhi unko bakhsha Sakhi aqa daaman sabhi ke hain bharthe |
Sabhi khushk o tar hain sana-khwaan uske Yeh jungle, pahaad aur meedaan uske | Sana unki karta hai Rab-e-Kareem Ahad o Ahmad mein hai farq-e-meem |
Woh Khaaliq hai har taraf shaahkaar uske Hain baro behar aur khasaar us ke | Hai Rab khush bada naat-khwaani mein unki Har ek cheez de di ghulami mein unki |
Urdu
احد و احمد
محمد رحمت اللعالمیں ہیں خدا کے ساتھ ہر جگہ وہی ہیں | اللہ جو رب العالمین ہے بتاؤ تو وہ کہاں نہیں ہے |
محمد مصطفےٰ شاہکارِ خالق ہر اِک چیز کے مختار و مالک | خدا صفت و صفا میں ہے یگانہ شریکِ رب کسی کو مت بنانا |
حقیقت میں وہ مالک ہیں جہاں کے وہی مقصود ہیں کون و مکاں کے | وہی ہے قادرِ مطلق جہاں کا الہٰ ہے وہ مکان و لا مکاں کا |
نہیں کوئی ان جیسا طیب و طاہر وہ خلقت میں اوَل ہیں آمد میں آخر | نہیں کچھ بھی اسکی قلمرو سے باہر ہے معلوم اسکو خفی اور ظاہر |
خزانے خدا نے سبھی ان کو بخشے سخی آقا دامن سبھی کے ہیں بھرتے | ہاں پروردگارِ جہاں بھی وہی ہے کہ مسجودِ انس اور جاں بھی وہی ہے |
ثنا انکی کرتا ہے ربِ کریم احد اور احمد میں ہے فرقِ میم | سبھی خشک و تر ہیں ثنا خوان اسکے یہ جنگل پہاڑ اور میدان اسکے |
ہے رب خوش بڑا نعت خوانی میں انکی ہر اِک چیز دے دی غلامی میں انکی | وہ خالق ہے ہر سمت شاہکار اسکے ہیں برو بحر اور کہسار اس کے |
COMMENTS