Tahseen Raza Khan Barelvi (تحسین رضا خان بریلوی)
Armaan Nikalte Hain Dil Ke Aaqa Ki Ziyarat Hoti Hai
Kon Is Ko Qayamat Kehta Hai Aisi Bhi Qayamat Hoti Hai
Tayba Ka Tassawur Kya Kahiye Ik Kaif Ki Halat Hoti Hai
Jis Samt Nigahain Uthti Hain Bas Samnay Jannat Hoti Hai
Ihsaas E Fazun Jab Hota Hai Iss Baab E Karam Say Doori Ka
Woh Qalb Hi Janay Be Chaara Jo Qalb Ki Halat Hoti Hai
Hai Unki Raza Par Haq Ki Raza Aur Unka Kiya Hai Haq Ka Kiya
Jo Unka Iraadah Hota Hai Woh Haq Ki Mashiyat Hoti Hai
Iss Baais E Khalq E Aalam Ka Jab Naam Labon Par Aata Hai
Raahat Se Badal Kar Rehti Hai Jo Koi Museebat Hoti Hai
Tayba Ki Bahaar E Dil Kash Ka Jab Tazkira Koyee Karta Hai
Uss Waqt Mareez E Ulfat Ki Kuch Aur Hi Haalat Hoti Hai
Mukhtar E Jahan Hain Woh Tehseen Jo Maango Woh Unsay Milta Hai
Taqseem Unhin Kay Dar Say To Konain Ki Daulat Hoti Hai.
COMMENTS