Ahmed Raza Khan Barelvi (احمدرضا خان بریلوی)
Book: Hadaiq e Bakhshish (حدائق بخشش)
Book: Irfane Bakhshish (عرفان بخشش شرح حدائق بخشش)
Roman Urdu
Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hai Hamara
Khaki to wo Adam jad-e-ala hai humara
Allah humein khak karay apni talab mein
Ye khak to Sarkar se tamgha hai humara
Jis khak pe rakhte thay qadam Sayyid-e-Alam
Is khak pe qurban dil shaida hai humara
Kham ho gayi pusht-e-falak us taan-e-zameen se
Sun hum pe Madina hai wo rutba hai humara
Isne laqab khak-e-Shahenshah se paya
Jo Haider karar ke Mawlay hai humara
Aye mudaiyo! Khak ko tum khak na samjho
Is khak mein madfoon Shah-e-Bat’ha hai humara
Hai khak se ta’meer mazar-e-Shah-e-Konain
Mamoor isi khak se qibla hai humara
Hum khak urayenge jo wo khak na paye
Abad Raza jis pe Madina hai humara
Urdu
ہم خاک ہیں اور خاک ہی ماوا ہے ہمارا
خاکی تو وہ آدم جَدِ اعلیٰ ہے ہمارا
اللہ ہمیں خاک کرے اپنی طلب میں
یہ خاک تو سرکار سے تمغا ہے ہمارا
جس خاک پہ رکھتے تھے قدم سیّدِ عالم
اُس خاک پہ قرباں دلِ شیدا ہے ہمارا
خم ہوگئی پشتِ فلک اِس طعنِ زمیں سے
سُن ہم پہ مدینہ ہے وہ رتبہ ہے ہمارا
اُس نے لقبِ ’’خاک‘‘ شہنشاہ سے پایا
جو حیدرِ کرّار کہ مولا ہے ہمارا
اے مدّعیو! خاک کو تم خاک نہ سمجھے
اِس خاک میں مدفوں شہِ بطحا ہے ہمارا
ہے خاک سے تعمیرِ مزارِ شہِ کونین
معمور اِسی خاک سے قبلہ ہے ہمارا
ہم خاک اڑائیں گے جو وہ خاک نہ پائی
آباد رؔضا جس پہ مدینہ ہے ہمارا
English Translation
Ham Khaak Haiñ Awr Khaak Hee Maawa Hai Hamaara
Khaaki To Wo Aadam Jade Aa’la Hai Hamaara
Dust We Are, And It Is This Dust Which Is Our Destination
Created From Dust Was Adam, The First Ancestor Of The Human Nation
Allah Hamay Khaak Kare Apni Talab Me
Ye Khaak To Sarkaar Se Tamgha He Hamaara
May Allah Reduce Us To Dust, As We Seek Out His Manifestation
This Dust From Our Master, Is A Royal Seal Of Confirmation
Jis Khaak Pe Rakhte Thay Qadam Sayyid e ‘Aalam
Us Khaak Pe Qurbaañ Dil e Shaida Hai Hamaara
That Dust On Which Was Set, The Sacred Feet Of The Leader Of The Creation
Upon That Dust Is Sacrificed My Heart, Which Is Absorbed In His Affection
Kham Ho Gayi Pusht e Falak Is Ta’ane Zameeñ Se
Sun! Ham Pe Madina Hai Wo Rutba Hai Hamaara
The Back Of The Sky Caved In, As The Earth Sarcastically Made This Assertion
Listen! Upon Me Is Madina, Such Is My Exalted Position
Us Ne Laqab e Khaak Shahanshah Se Paaya
Jo Haidar e Qar’raar Ke Maula Hai Hamaara
He Attained From The King Of Kings, ‘The Father Of Dust’ Appellation
He Is Ali The Valiant Lion, Who Is Our Master, Our Inspiration
Ay Mud-da’iyo! Khaak Ko Tum Khaak Na Samjhe
Is Khaak Me Madfooñ Shah e Batha Hai Hamaara
O Claimants! Do Not Simply Regard Dust, As Dust, In Your Notion
In This Dust The King Of Madina Is Resting, It Is His Sacred Station
Hai Khaak Se Ta’meer Mazaar e Shah e Kaunain
Ma’mur Isi Khaak Se Qiblah Hai Hamaara
From Dust, Is Constructed, The Sacred Shrine Of The King Of The Creation
From This Very Dust Is Constructed The Kaa’ba, Our Qibla Direction
Ham Khaak U’raa-en Ge Jo Wo Khaak Na Paayi
Aabaad RAZA Jis Pe Madina He Hamaara
If We Do Not Attain That Sacred Dust, We Will Wander In Deprivation
That Sacred Dust Upon Which Raza, Is Our Madina’s Sacred Location
COMMENTS