Tahseen Raza Khan Barelvi (تحسین رضا خان بریلوی)
Imam Ul Ambiya Tum Ho Rasool E Mujtaba Tum Ho,
Jo Sab Kay Peshwa Hain Unkay Aaqa Peshwa Tum Ho.
Haqeeqat Aap Ki Samjhay To Kya Samjhay Khirad Walay,
Khuda Walay Yeh Kehtay Hain Khuda Jane Kay Kiya Tum Ho.
Tumhari Waqai Tauseef Hum Say Ghair Mumkin Hai,
Kay Hum Jo Kuch Kahain Us Say Haqeeqat Main Siwa Tum Ho.
Khuda Deta Hai Tum Taqseem Kartay Ho Zamanay Ko,
Miyan e Khaliq O Makhlooq Muhkam Wasta Tum Ho.
Mujhe Parwa Nahin Maujain Uthain Tufaan Aa Jaye,
Shikasta Hai Agar Kashti To Gham Kiya, Nakhuda Tum Ho.
Woh Kaaba Hai Jahan Sar Jhuk Rahain Hain Ahl e Aalam Kay,
Magar Kaa’ba Bhi Jis Kay Saamne Kham Ho Gaya Tum Ho.
Dil E Tahseen Say Gham Ki Ghatain Chat Gayein Aaqa,
Suna Hai Jab Say Usne Shafa’e Roz E Jaza Tum Ho.
COMMENTS