Tahseen Raza Khan Barelvi (تحسین رضا خان بریلوی)
Badal Kar Phir Wohi Pehli See Taqdeer E Jahaan Kar Lain
Woh Suntain Hain Zamana Sar Gazisht Gham Sunaata Hay
Zara Mauqa Jo Mil Jaaye Toh Kuch Hum Bhi Bayan Kar Lain
Idhar Aao Bohat Mumkin Nishan-e-rah Mil Jaaye
Yeh Hain Naqshe Qadam Barh Kar Talash-e-karwaan Kar Lain
Lipat Kar Unkay Daman Say Machal Kar Unke Qadmon Par
Hum Apni Pastiyon Ko Phir Hareef E Asmaan Kar Lain
Dayaar E Paak Kay Kaanton Say Kar Ke Dosti Hum Dum
Riyaz E Khuld Kay Phoolon Ko Apna Raaz Daan Kar Lain
Nazar Main Jazb Hai Rangeeniyan Gulzar E Tayba Ki
Jahan Chahain Wahan Paida Naya Baagh E Jinaa Kar Lain
Wufur E Showk Main Mal Kar Jabeen Ko Aastaane Say
Nishan E Sajdah E Tauheed Ko Jannat Nishan Kar Lain
Yaheen Say Rahmaton Ka Sath Ho Jaaye Agar Tehseen
Kisi Kay Zikr Ko Harf E Akheere Dastan Kar Lain
COMMENTS